saba ki zindagi
Episode#1
Raat ky 10 baj rahy thy or Saba or uska shouhar Ashraf dono apny kaanoon pr haath rakh kr apny bedroom main bethy huy thy. kabhi Ashraf apny sir ko bed pr rakhy hoy sarhaany ky neechy ghusaa daita or kabhi bechain ho kr uth bethta or apny hathoon ki aik aik ungli apny kaanon main ghusaa laita yahi haal Saba ka bhi tha. lakin in sub koshishon ky bawjood un dono ko us cheez sy chutkara nahi mil paa rha tha jiski wajah sy undono ki yeh halat ho rahi thi. ghussy ky maary Ashraf ka bura haal ho rha tha lakin wo bari hi mushkil sy khud pr qaboo kr paa rha tha.
Un dono noujwaan or newly wedded jory ki pareshaani ki wajah thi buhat hi ouunchi or bhadi si music ki awaaz jo ky aik puraani si tape pr chalti hoi casset sy aa rahi thi or yeh tape recorder unky bilkul saath waly flat main rahny waly retired major Safdar ky haan chal rha tha. lakin Major sb apny hamsay ko pareshaani or apny ghar main chal rahy tape recorder dono sy hi laa ilam thy. or uski wajah yeh thi ky music or tv chalta hoa chor kr wo kub ky so chuky thy or unko ab koi ilam nahi tha ky unky irdgird kya ho rha hai. so gye huy thy ya shayad apni aadat ky mutabiq sharab peety hoy behosh ho gya tha. khuch pata nahi tha. or aisa yeh koi pahli baar nhi ho rha tha balky har hafty main do teen baar aisa zaroor ho jaata tha jiski wajah sy tamam hamsaay un sy tang aa chuky hoy thy. lakin major Safadr ki ghuseeli tabiat or intehaai naa munasib behavior ki wajah sy koi bhi unky saamny aany ki jurat nhi krta tha.
Jub Ashraf sy bardasht na ho paya to us ny apny sir ky ooper rakha hoa takya uthaaya or zoor sy usy door pary hoy sofy pr phainkty hoy utha or bola, is buddhy ganwaar janwar ko aaj khuch sikhaa kr hi aana pary ga. is kameeny ko to insaanoo ky beech main rahny ka koi saleeqa hi nahi hai.
Jaisy hi Saba ny apny shouhar ko ghussy main dekha to jaldi sy uthi or usy rokty hoy boli, nahi nahi aap nahi jaao, aap ghussy main ho aap ruko main unko kah kr aati hoon. aisy aap ky jaany sy baat barh jaay gi.
apni biwi ky baar baar kahny pr Ashraf ruk gya wahin bedroom main hi or phir saba ny bed pr para hoa gown apny night suit pr daala or uski doori baandhti hoi bedroom sy bahir nikal aai. apny flat ka main gate unlock kr ky wo bahir corridor main nikli to paanchwin manzil ka corridor bilkul khaali tha. Saba apny flat ky darwazy sy nikli or bilkul saath ky darwazy ki traf barhi. usky chehry pr bhi na chaahty hoy bhi ghussa or intehaai nafrat thi.ku ky wo bhi us buddhy retired major ki tabiat sy achi trah waqif thi.
Saba ny Major Safar ky darwazy pr jaa kar apni naazuk naazuk goori goori or patli unglion ko morty hoy ahista ahista knock kya......aik baar....... doosri baar....... teesri baar..........lakin har bar ki dastak ka nateeja to aik hi nikal rha tha ky darwaza nhi khulna tha nahi khula. or khulta bhi tab na jub koi andar sun rha hota to.jaisy jaisy Saba knock kye jaa rahi thi waisy waisy hi uska ghussa bhi barhta jaa rha tha.
Saba ko apni unglion main thora pain mahsoos hoa to us ny apna haath poora khola or is baar ghussy ky saath poory haath ki madaad sy lakri ky darwazy ko peetny lagi. itni zoor sy darwaza peetny ky baad Saba ny idhar udhar dekha ku ky usy yaqeen tha ky wo kameena major nikly ya na nikly lakin baqi ky 4 flats main sy koi na koi zaroor nikal aaye ga bahir. Lakin Khuda ka shukar tha ky abhi tak koi nahi nikla tha waisy koi nikal bhi aata to bhi usy koi parwah nhi thi.
Jub buhat zoor zoor sy do teen baar darwaza peeta gya to andar sharab pee kar sooty huy Major sab ko shayad khuch khuch hosh aany laga us ny pahly apny kaan kholy or jub usy yaqeen ho gya ky koi bahir unka darwaaza torny ky darpy hai to bari hi mushkil sy ab unhon ny apni aankhon ko khola jo ky nashy ki wajah sy dobara sy band hoi hoi jaa rahi thin. apni aankhon ko jagaany ky baad ab baari thi sub sy mushkil kaam ki yaani apny soy hoy wajood ko jagaany ki taky wo apny darwaazy tak pohnch sakain.
Kisi na kisi trah sy khud ko hosh main laa kar Major Safdar apny darwaazy ki traf barha lakin is doraan bhi 3 baar darwaaza peet dya gya tha. Jaisy hi Major ny darwaza khola to apni aankhon ky saamny aapny hamsaay ki intehaai khoobsorat or jawan goori chitti biwi ko dekha kr thora nasha or hawa ho gya or aankhain poori trah sy khul gain. or woh sharab or neend ky asar sy surakh ho rahi apni aankhain khool kr apny saamny khari khoobsorat Saba ko dekh kr bola,
haan kya baat hai? kyun mery ghar ka darwaza torny ko aai khari ho.
Saba ky chehry pr usy intehaai nafrat or ghussa to saaf nazar aarha tha lakin wo bhala kisi ky ghussy ya nafrat ki parwah kyun krny laga.
Saba: koi shouq nahi hai mujhy youn aadhi raat ko tumhary ghar ka darwaza peetny ka. yeh jo shour machaa rakah hai tum ny apny ghar main isy band kr ky maro jaa kar taky koi or bhi sukoon sy so saky yaha pr.
Major: hahahahaahahah................ acha acha kr daita hon band isy bhi....... lagta hai is shor main tery us thooku ka khara nahi hota jo us ny tujha is waqt mery paas bheja hai isy band karwaany.
Saba ka chehra yeh baat sun kar ghussy sy surakh ho gya or uski aankhon sy jaisy aag nikal rahi ho lakin wo sirf apny haathon ki muthyaan bheench kr rah gai. is khabees insaan sy aisi hi batoon ki umeed thi usy lakin wo koi tamasha khara nahi krna chahti thi.
Saba: band kro apni bakwaas or is shor ko bhi. tum sy ziada ghatya insaan to main ny aaj tak nahi dekha jisy auron sy baat krny ki bhi tameez nahi hai.
yeh kah kr Saba apny flat ki traf mur gai wo koi or baat na krna chahti thi or na sun na chahti thi.
Major: hahahahahahaha............ or main ny bhi tumhary shouhar jaisy ghatya aadmi nahi dekha kabhi jo aadhi raat ko apni biwi ko doosry mard ky ghar bhejta hai............hahahahhahahha
Is baat ny aik baar phir Saba ky tan badan main aag laga di thi us ny foran hi mur kr peechy dekha to Major ny hansty hoy usy aik aankh maari or zoor sy apna darwaaza band kr lya.
Saba ki nazar apny flat ky saamny waly flat ki darwazy pr pari to dekha ky waha pr Mansoor sb khary hain. wo bhi buhat hi bechaargi wali nazroon sy uski traf dekh rahy thy. udhair umar ky Mansoor sb intehaai shareef aadmi thy or apni family ky saath bilkul saamny rahty thy or unky saath Ashraf or Saba ky achy marasm thy.
Saba ny Mansoor sb ko dekha to sharminda ho kr apni nazrain jhukaa lin.
Mansoor: baiti tum is gandy insaan ky monh na laga kro. kitni baar tum logo ko mana kya hai.
Saba ny sharmindi sy sir jhuka lya or jaisy uski aankhon sy aanu nikalny ko hi thy lakin saath hi nafrat bhi andar hi andar or barah gai thi. lakin aik baat thi ky apny ghar ka darwaza band krny tak us bheyaanak music ki awaaz bhi band ho chuki thi. apny ghar ka darwaza andar sy lock kr ky Saba apny bedroom ki traf barhi yeh usy hi maloom tha ky is itny sy kaam ky lye wo kis qadar zaleel ho kar aai hai us besharm buddhy ky haathon. lakin usy pata tha ky usy yeh baat apny shouhar Ashraf ko nahi batani hai balky us sy chupaani hai..................jaisy wo ab tak chupaati aai hai............... apni tazleel or beizati ko ku ky woh nahi chahti thi ky uska shouhar us sy lar pary jaa kr or phir woh kameena shahks usky shouhar ko koi nuqsaan pohnchaay.
islye Saba ny fridge sy thanda paani nikaal kr peeya or phir bedroom main jaa kr khamooshi sy bed pr apny shouhar ky saath lait gai.
Ashraf: koi badtameezi to nahi kr rha tha wo kameena???
Saba: nahi mazrat kr rha tha ky aankh lag gai thi is lye aisa ho gya.
Ashraf ny bhi ab karwat li or sony laga. Saba bhi karwat ly kar Ashraf ki peeth sy chipak kr lait gai or us kameeny insaan ki batoon ko apny dimaagh sy nikaalty hoy khud ko neend ki waadyoon main ly jaany ki koshish krny lagi.
0 comments:
ایک تبصرہ شائع کریں